BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM

Para   27
Lesson Surah Name Ayah Reference Material
272

At-Tur

1-49

Related Ayah

Self Assessment:

1.       Hamaree saare silaheyatain kahan iste'maal hotee hain.

2.       Hamaree majlisoon may honay wali batoon per ghaur karain.

273

An-Najm

1-30

Related Ayah

Self Assessment:

  • Jis 'ilm kay saath Khaliq-e-Kaenaat nay itna ihtemaam barta hay us kay saath:( ref ayah # 23)

1.       Hamara sulook kiya hay is kay saath?

2.       Hum us ko kiya maqaam datay hain?

3.       Is 'ilm ko lanay kay liya hamaree koshish kitnee hay?

4.       Humaray diloon may kiya ahmiyat hay is 'ilm ki?

5.       Us ki azmat aur baraaee kay baray may hamara yaqeen kitna hay?

6.       Is 'ilm ko hasil kertay waqt hamaree tawajjah kahan hotee hay?

  • Zindagi ka koe bhi ma'amala ho tau hum rahnomae kahan say latay hain ( ref ayah # 23)
  • Qur'an kay talib-e-'ilm hain , Khud a'temadee YA 'Aar mahsoos kertay hain batatay howay?
  • Momin ka gham aur fikr Akhirat hay dunya nahi, Hamaree haqeeqi fikr aur HUM kiya hain? ( ref ayah # 30)

Memorize:

Book: Qur'ani aur Masnoon duain, masnoon dua # 52, pg # 50 ( Allahummaq sim lana min khashyateka ma tahoolo.......) ( ref ayah # 30)

274

"

31-62

Related Ayah

Self Assessment:

  • Jab bhi koe mushkil atee hay ya kaam ker ho tau hamara target kiya hota hay, kiya hum MUNTAHA ( end) ko samnay rakhtay hain ( ref ayah 42).
  • Hum kin cheezoon kay liya apnee maharat ya waqt zaya kertay hain, apnay auqaat ka jaiza lain.

Memorize ( ref ayah # 32):

 APNEE BAKHSHISH KI DUA:  

  • Allahumma la tuaghiznee bima yaquloona waghfirlee ma la ya'lamoona waja'alni khairam mimma yazun noona

Practical: 

  • 20 aisay gunah ki list banaain jin ko kabeerah gunah kaha gaya hay ( ref ayah # 32).
275

Al-Qamar

1-55

Related Ayah

Self Assessment ( ref ayah # 5):

  • Agar pichlee qomoon kay liya FAMA TUGHNIN NUZUR, tau ye nuzur hamay kiya faida day raha hay, Kiya in ko parh ker hamaray under koe farq ata hay.
  • Jahan Jana Yaqeeni hay wahan kay liya kiya planning ker rahay hain. 

Reading ( ref ayah # 1):

  • Book: Tajalliyaat-e-Nabovwat ( Shaq-e-Qamar), page # 138
276

Ar-Rhman

1-78

Related Ayah

Self Assessment ( ref ayah # 46):

 Din may kitnee dafa mujhay is baat ka khayal ata hay kay mujhay apnay rabb kay saamnay khara hona hay.

277

Al-Waqiah

1-40

Related Ayah

278 " 41-96

Related Ayah

Self Assessment ( ref ayah # 88 ):

 Apnay a'maal ka jaiza lain, Kiya hum Muqarrab hain?

279

Al-Hadid

1-15

Related Ayah

Memorize ( ref ayah # 4 ):  Dua needed

Muhammad ( saw) nay jo dua apni batee Hazrat Fatima(ra) ko parhnay ki takeed ki  ( in Saheeh Muslim)

Self Assessment ( ref ayah # 6):

Jaiza lain kay hamaray diloon may kiya bhara howa hay? kiya jo cheez dil may hay wo Allah( swt) say qareeb ker rahee hay ya door.

280 " 16-29

Related Ayah

Listening:

Imtehaan tau ho ga

Self Assessment ( ref ayah # 16):

  • Jaiza lain Apni Tanhaioon ka kay us waqt aap kay dil ki kaifiyat kiya hotee hay.
  • Kiya Namaz may hamain Allah ka qurb naseeb hota hay.
  • Wo kon sa amal /a'maal thay jo meree is kaifiyat may madadgaar sabit howay aur agar koe kaifiyat nahi tau Ahtisaab karain kay kiya wujohaat theen

for example

1.       Zikar

2.       Namaz

3.       Rozay

  • Qur'an ko Parh ker meray under khair kuwahee may izafa howa YA fisq aur fasad may.
  • Jaiza lain kay kiya hum Allah ki di howe na'matoon say Akhirat bana rahay hain YA un may kho ker akhirat ko bhool gaye hain.( ref ayah # 20)
  • Hum ko asal muqabla kahan kerna hay? Soochain kay hum nay apni zindagi may kin kin cheezoon may muqablay kiyay.( ref ayah # 21)
  • meray paas kitnee cheezain hain jin ko may deen ki khidmat may istemaal kertee hoon Ansar Allah ban ker ( ref ayah # 25).

List of  Juz' (Paras)

alhudapk.com